View Count

Saturday, March 22, 2014

Hunar

Ashqo.n ko rokna bhi hunar ho jaise,
Aakho.n me dabi koi laher ho jaise

Itni viraaniyon se guzar kar bhi,
zinda  Dil me koi shaher ho jaise

Ye koi azaar hai ya Tarjuma-e-marg,
Apni ragon me daudta zaher ho jaise

Uske ikhtiyar me aaye radeef-o-kaafiya,
Mere hisse me aayi baher ho jaise

Aable paaon ke ban gaye hausle,

Us nigaah-e-parwaaz me daher ho jaise

Tuesday, November 12, 2013

Na jaane kyun

Apne badan ka libas rehta hun,
Na jaane kyun udaas rehta hun,

Aati rehti hain khushbuyen kitni,
Apne maazi ke saath rehta hun

Ghar ek jalta hua jungle jaise,
Baarish ko mahv-e-yaas rehta hun

Aag ne bhi ye mojza nahi dekha
Badan hun magar raakh rehta hun

Ek subah ka intezaar mujhko bhi,
Isilye jaaga saari raat rehta hun

Ghar lautne ki fir baat na karo,
Jab safar me uske saath rehta hun

Socht sochte baaise-gham, soojha
uske paas to shaad rehta hun,

Ghar laut ke bhi jaun to kiske liye,

Tha koi jiske liye nashaad rehta hun.

Thursday, October 10, 2013

Awaaz kabhi marti nahi: Remembering Jagjit ji on his 2nd Death Anniversary



Awaaz kabhi marti nahi

Kya bhoolen kya yaad Karen, isi mushkil me zindagi guzarti rehti hai. kitne chehre roz nazar se guzarte hain, lekin jaane kyun kuch chehre zehan me bas jaate hain. Yun to chehre sabki pehchan hote hai lekin tumhe maine awaaz se pehchana hai. Aur kyun na pehchaanun ki mera taruff tumhari awaaz se hi hua tha. Meri umr 12-13 saal rahi hogi jab pehli baar tumhari awaaz suni thi. Radio me ek ghazal baj rahi thi. Jitni khoobsurat ghazal thi usse kahin jyada khoobsurat tumhari awaaz thi. 

Kya awaaz marham ho sakti hai? Kya awaaz me jadoo ho sakta hai? Kya awaaz shifa ho sakti hai? Kya awaaz se muhabbat ki ja sakti hai? Kya awaaz me khuda basta hai? Jisne tumhari awaaz suni hai wo janta hai ki in sawalon ka bas ek hi jawaab hai, “haan, Jagjit ki awaaz”

Jhuki jhuki si nazar bekarar hai ki nahi
Daba daba sa sahi dil me pyar hai ki nahi


Pehli baar in lafzo ko suna to tumhari awaaz dil ke us samadar me utar gayi jahan se kuch bahar nahi nikala ja sakta, in gehrayion me bahut kam cheezen milti hai, bas ek do chehre honge aur kuch lamhe. Tumhari awaaz ke sahare maine zehan me tumhari tasveer banayi thi, ab yaad nahi kaisi thi.

Jab log samandar ke kinaare khade ret se khelte rehte hain, tab tumhari awaaz mujhe samandar ke bheetar le gayi, wo duniya jo kisi dharti se kam nahi hai. Wahan mujhe kya kya na mila, wo pursukoon motiyon se chamakte lamhe, wo yadon ki sunhari machliyon ki rawangi, wo tute hue kuch lamhe sheese ki shakl me. Ab is samandar se bahar kaun nikle….

Apni aakhon ke samandar me utar jaane de,
Tera mujhrim hun mujhe doob ke mar jaane de….


Waqt guzarta gaya aur tumhari awaaz mera hissa ban gayi, jisse main alag hona bhi nahi chahta. Akhir kaun is nemat se alag hona chahega? Fir tumhari awaaz to meri hamsafar rahi hai, is sangdil duniya me bhi aur bekhudi ke lamhon me bhi. Tumhari awaaz meri humsaaz rahi hai, us daur me jab koi nahi tha aur tabhi jab sab aas paas the. Tumhari awaaz meri awaaz rahi hai, haan kuch baaten maine kabhi kahi nahi, kyu ki tumne unhe apni awaaz de di, fir mujhe kehne ki zaroorat hi kya thi?

kisko aati hai maseehai kise awaaz dun?
Bol aye khunkhaar tanhaai kise awaaz dun?


Jis maseehai ka intezaar tumhe raha usi ka talabgaar main bhi hun. Tumhari awaaz mere dil ka marham rahi hai. Isne mere dil ko chua nahi sehlaya bhi hai, lori bhi sunayi hai aur jagaya bhi hai. Main jab haar ke ruk gaya tumne mujhe chalne ka hausla bhi diya. Mujhe khwabon ko sajane me madad ki aur agar ye khwab toote to sametne ke liye haath bataya. Suna hai Log kehte hain ab tum nahi ho. Logon ke liye shayad tum nahi hoge lekin mere liye to tum hamesha jinda ho, apni awaaz ki shakl me. Kyu ki awaaz kabhi marti nahi.

Dekhte hi dekte duniya se maiN uth jaaoonga
dekhti ki dekhti reh jaayegi duniya muJhe…..


Utkarsh
© Utkarsh All rights reserved

Saturday, September 28, 2013

Tumhe awaaz deti hain

Tumhe awaaz deti hain,
meri khamoshiyan aksar....

ye jaanti hai tum ek din laut aaogi,
ghar ke kone kone ko fir sajaogi,
har taraf chaaye andere ko mitaogi,

Tumhe awaaz deti hain,
meri khamoshiyan aksar.....

chale bhi aao ki ye raat bhaari hai,
seene pe ab to ek marg taari* hai
hum tanha, muqabil* duniya saari hai

Tumhe awaaz deti hain,
meri khamoshiyan aksar.....

*marg taari: dominance of death
*muqabil: opposite

Monday, August 26, 2013

Ye Zaroori to Nahi

Ye zaroori to nahi,
meri har ghazal me charcha ho tumhara,
Ye zaroori to nahi,
Meri har nazm me tumhara naam ho,

Ye zaroori to nahi,
Meri ghazal de sadayen tumhe,
aur har nazm tumhe choo kar laut aaye,

Ye zaroori to nahi,
Ki har ghazal me tumhara chehra ubhre,
Aur har nazm mu.attar# ho tumhari bu-e-hina# se,

Ye zaroori to nahi,
Ki har lafz larza.n# ho tumahre khyal se,
Aur kalam ruk jaaye tumhari yaad ke do raahe par,

Ye zaroori to nahi, fir bhi,
Meri har ghazal me tum bazahir# ho,

Meri har nazm me tum poshida# ho......

(#Mu.attar: wet)
(#Bu-e-hina: Fragrance of Mehndi)
(#Larza.n: Shivering)
(#Bazahir: Visible)
(#Poshida: Hidden)

Wednesday, July 31, 2013

Chiraag

Mujh ko dhoondhte firte hai teri aankhon ke chiraag,
tujhe bataye koi, ki ek umr hui bujh gaya hun main...

Tuesday, July 30, 2013

Kho kar

Sab kuch kho kar kaha rota hai koi,
hum bhi to muskurate rahe the der tak....